aane vaalā to har ik lamha guzar jaatā hai
vo ġhubār uḌtā hai ambār sā dhar jaatā hai
kaun se ġhaar meñ gir jaatā hai manzar saarā
kin ḳhalījoñ meñ bharā-shahr utar jaatā hai
pattiyāñ suukh ke jhaḌ jaatī haiñ chhaT jaate haiñ phal
jis ko mausam kahā karte haiñ vo mar jaatā hai
lams kī shiddateñ mahfūz kahāñ rahtī haiñ
jab vo aatā hai ka.ī fāsle kar jaatā hai
intizār ek baḌī umr kā daryūza-gar
jo bhī aatā hai koī sil yahāñ dhar jaatā hai