Atiiqullah

KHwabon ki kirchiyan meri muTThi mein bhar na jae

Atiiqullah

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1941
ḳhvāboñ kī kirchiyāñ mirī muTThī meñ bhar na jaa.e
ā.inda lamha ab ke bhī yūñhī guzar na jaa.e
rassī laTak rahī hai gale ko na bheñch le
ḳhanjar chamak rahā hai badan meñ utar na jaa.e
muñh phāḌtī haiñ ghar kī darāḌeñ idhar udhar
ik qahqaha ki jaise fazā meñ bikhar na jaa.e
kyuuñ us ke saath hī na rahā jaa.e chand roz
jo aadmī ki raat meñ bhī apne ghar na jaa.e
kyā jaane baat kyā hai ki ruktā nahīñ koī
kab se pukārtā huuñ ki koī udhar na jaa.e
kaise phir apne aap ko zinda kahūñgā maiñ
ik aur shaḳhs mujh meñ hai shāmil vo mar na jaa.e
jis ko ki urf-e-ām meñ kahte haiñ zindagī
ye nashsha apne vaqt se pahle utar na jaa.e
Top Urdushayar.com