garche maiñ sar se pair talak nok-e-sañg thā
phir bhī vo mujh se bar-sar-e-paikār-o-jañg thā
lab sil ga.e the apne anā ke savāl par
go dil hī dil meñ mujh se vo maiñ us se tañg thā
maiñ aa gayā alāñg ke har dasht har pahāḌ
terī sadā pe mujh pe Thahar jaanā nañg thā
duniyā tamām ātishīñ-dhāroñ kī zad meñ thī
lekin maiñ be-ḳhatar thā ki vo mere sañg thā
shīshe kī kirchiyāñ sī badan meñ utar ga.iiñ
us kā libās us kī jasāmat pe tañg thā