mire supurd kahāñ vo ḳhazāna kartā thā
sulūk kartā thā aur ġhā.ebāna kartā thā
ajiib us kī talab thī ajab thā asp-e-savār
ki mulk-o-māl kī parvā zarā na kartā thā
shi.ār-e-zīst hunar thā so ham na jaan sake
jo kaam ham nai kiyā dūsrā na kartā thā
safar-girafta rahe kushtagān-e-nān-o-namak
hamāre haq meñ koī faisla na kartā thā
fazā meñ haath to uTThe the ek saath ka.ī
kisī ke vāste koī duā na kartā thā
tamām sūrat-e-tartīb is ko aatī hai
agarche ḳhair ko shar se judā na kartā thā
vo qalb-gāh-e-tamannā meñ ik charāġh kī lau
ko tez rakhtā thā nazr-e-havā na kartā thā
uThā rakhā thā usī par se e'tibār tamām
aur intizār bhī us kā zamāna kartā thā
unhīñ gharoñ se ibārat hai apnī shām-e-jahāñ
charāġh-e-tāq bhī aksar jalā na kartā thā