āsmāñ kā sitāra na mahtāb hai
qalb-gah meñ jo ik jins-e-nāyāb hai
ā.īna ā.īna tairtā koī aks
aur har ḳhvāb meñ dūsrā ḳhvāb hai
aur hai sham.a ke batan meñ raushnī
tere ā.īne meñ aur hī aab hai
ye charāġh aur hai vo sitāra hai aur
aur aage jo ik hijr kā baab hai
aur phailī huī hai jo ik dhund sī
aur aqab meñ jo ik zīna-e-ḳhvāb hai
bas vo lamha jo tujh se ibārat huā
baaqī jo chiiz hai vo fanā-yāb hai
ḳhvāb ne to raqam kar diyā thā tujhe
hāsil-e-shab yahī chashm-e-pur-āb hai