Atiiqullah

dil ke nazdik to saya bhi nahin hai koi

Atiiqullah

Ujjain, Madhya Pradesh, India

1941
dil ke nazdīk to saayā bhī nahīñ hai koī
is ḳharābe meñ to aayā bhī nahīñ hai koī
har surāġh apnī jagah ret meñ mādūm huā
duur tak naqsh-e-kaf-e-pā bhī nahīñ hai koī
apne sūkhe hue gul-dān kā ġham hai mujh ko
aañkh meñ ashk kā qatra bhī nahīñ hai koī
duur se ek hayūlā sā nazar aatā hai
paas se dekho to miltā bhī nahīñ koī
kitne din hote haiñ hāthoñ meñ qalam tak na liyā
kāġhazoñ meñ nazar aatā bhī nahīñ hai koī
ek hī satr likhī thī ki ye ehsās huā
lafz aur ma.anī meñ rishta bhī nahīñ hai koī
Top Urdushayar.com