din guzar jaatā hai par raat se jī Dartā hai
chhat shikasta ho to barsāt se jī Dartā hai
phuul shāḳhoñ pe bhī murjhā ke bikhar jaate haiñ
tū ho gar saath tire saath se jī Dartā hai
ābgīne meñ ta.alluq ke na baal aa.e kahīñ
baat karte hue har baat se jī Dartā hai
chāñdnī rāteñ na aa.eñ ye duā kartā huuñ
ab to guzre hue lamhāt se jī Dartā hai
phir tamāzat tire pahlū kī jagā detī hai
niiñd meñ bhī tirī is ghaat se jī Dartā hai