yaqīñ gum ho chukā ham se gumāñ mahfūz rakkhā hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb sā rañgīñ jahāñ mahfūz rakkhā hai
huā mismār sab lekin jahāñ tum ghar banāte the
vo dil kā ek TukḌā jān-e-jāñ mahfūz rakkhā hai
shikasta ho chuke jal bujh chuke tārīḳh shāhid hai
fazāoñ meñ magar ab tak dhuāñ mahfūz rakkhā hai
zamīñ par jo bhī mumkin thā vo sab kuchh kar liyā yārab
hai ham se duur terā āsmāñ mahfūz rakkhā hai
nahīñ mumkin magar yuuñ bhī huā dil ke samundar meñ
huī ġharqāb kashtī bādbāñ mahfūz rakkhā hai