bujhtī huī āñkhoñ kā akelā vo diyā thā
hijrāñ kī kaḌī shab meñ aziyyat se laḌā thā
ruktā hī nahīñ tujh pe nigāhoñ kā tasalsul
kal shaam tire haath meñ kañgan bhī nayā thā
ik chashm-e-tavajjoh se udhaḌtā hī gayā thā
vo zaḳhm ki jis ko baḌī mehnat se siyā thā
bargad ke isī peḌ pe utreñge parinde
sailāb-zada ghar ke jo āñgan meñ khaḌā thā
darvesh kī kuTiyā ke ye lāshe pe banī hai
vīrān shikasta sī havelī pe likhā thā
tasvīr meñ us ko hī sar-e-bām dikhāyā
mazdūr zamāne ke jo paañv meñ paḌā thā
vo zaḳhm judā.ī kā bhalā kaise dikhegā
malba jo mire jism kā andar ko girā thā
'bābar' ho ki bahkā huā jhoñkā yā sitāra
terī hī galī meñ hameñ jaatā vo milā thā