na faisla tumhārā hai na faisla hamārā hai
ye vaqt ke qazzāq ne chhupā ke tiir maarā hai
faqīh-e-shahr zindagī kī aañkh kā jo nuur thā
vo maiñ ne tere āstāñ pe ḳhvāb lā ke vaarā hai
sitār-gāñ kī bazm meñ udaas chāñd dekhnā
na-jāne kaisā ḳhvāb hai na-jāne kyā ishāra hai
hameñ ye ḳhvāb titliyāñ talāshnā haiñ umr-bhar
ki haath ḳhālī nikle haiñ charāġh hai na taara hai
pas-e-ġhubār vaqt yuuñ pukārtā hai kaun ye
ki hijr-o-ġham kā silsila batāo kyuuñ gavārā hai
'sajjād' bhī malūl hai ki qāfila hai shaam kā
falak pe ek chāñd hai jo āḳhirī sahārā hai