jo jaañ se hai aziiz use tū judā bhī rakh
ḳhushiyoñ ke muñh meñ dard bharā zā.iqa bhī rakh
har rāsta kahīñ na kahīñ muḌ hī jā.egā
rishtoñ ke biich thoḌā bahut fāsla bhī rakh
yuuñ bhī na ho ki jo bhī uThe tujh meñ jhāñk le
ḳhud meñ na yuuñ simaT koī dard-āshnā bhī rakh
aisā na ho ki taaza havā ajnabī lage
kamre kā ek-ādh darīcha khulā bhī rakh
shāḳh aur phuul rishta-e-yak-lamha ke asiir
apnī talab ke sāmne ye aa.inā bhī rakh