Ahmad Sajjad Babar

kab wo bhala hamari mohabbat mein aa gae

Ahmad Sajjad Babar

Lodhran, Punjab, Pakistan

1980
kab vo bhalā hamārī mohabbat meñ aa ga.e
haa.e vo log jo ki zarūrat meñ aa ga.e
vaise to un ko saa.e se uljhan balā kī thī
momī badan the dhuup kī nafrat meñ aa ga.e
reza vajūd merā abhī tak havā meñ hai
tum to qarīb mere sharārat meñ aa ga.e
kuchh to hameñ bhī jāgte rahne kā shauq thā
kuchh ratjage bhī ḳhvāb kī qīmat meñ aa ga.e
āvāz de rahā hai abhī kūza-gar mujhe
yuuñ lag rahā hai chaak se ujlat meñ aa ga.e
yādoñ ke is hujūm se fursat nahīñ hameñ
tujh se bichhaḌ ke kaisī ye fursat meñ aa ga.e
ab aañkh se pilā do mire yaar zindagī
ki ḳhāl-o-ḳhad ke paar to vahshat meñ aa ga.e
ya.anī hamāre naam kī shohrat hai auj par
ya.anī faqīh-e-shahr kī tohmat meñ aa ga.e
bhaa.ī sabhī pasand kī shādī ke haq meñ the
bahnoñ ne ḳhvāb dekhe to ġhairat meñ aa ga.e
shāhī mizāj rakhte haiñ munsif sabhī yahāñ
'bābar' ye kis tarah kī adālat meñ aa ga.e
Top Urdushayar.com