qadam sau man ke lagte haiñ kamar hī TuuT jaatī hai
koī ummīd jab bar aatī aatī TuuT jaatī hai
darīche band zehnoñ ke nahīñ khulte haiñ tāqat se
lagā ho zañg taale meñ to chābī TuuT jaatī hai
tirī ulfat meñ aisā haal hai jaise koī machhlī
nigal letī hai kāñTā aur laggī TuuT jaatī hai
jidhar ke ho udhar ke ho raho dil se to behtar hai
ki loTā be-talī kā ho to ToñTī TuuT jaatī hai
akaḌ kar bolne vaale na ho gar taan aaTe meñ
tave se qabl hī hāthoñ meñ roTī TuuT jaatī hai
chavannī ke na tuḌvāne pe ham se rūThne vaale
kahāñ hai tū ki aa ab sau kī gaDDī TuuT jaatī hai