Mannan Bijnori

aapsi baaton ko aKHbar nahin hone diya

Mannan Bijnori

Bijnor, Uttar pradesh, India

1960
aapsī bātoñ ko aḳhbār nahīñ hone diyā
ham ne ye kamra havā-dār nahīñ hone diyā
bad-gumānī ko kiyā chaa.e pilā kar ruḳhsat
nāshte kā bhī talabgār nahīñ hone diyā
dil ke zaḳhmoñ kī ḳhabar hone na dī ashkoñ ko
ġham kā āñkhoñ se sarokār nahīñ hone diyā
saḳht lafzoñ meñ bhī detī hai mazā baat us kī
us ne lahje ko dil-āzār nahīñ hone diyā
rakh diye hoñToñ pe uñglī kī tarah hoñT us ne
ek shikva bhī numūdār nahīñ hone diyā
us ne nādān ho, kah kar hameñ uksāyā thā
umr bhar us ko samajhdār nahīñ hone diyā
chāhateñ pā.īñ haiñ 'mannān' vafāoñ ke tufail
jazba-e-ishq ko ayyār nahīñ hone diyā
Top Urdushayar.com