Mannan Bijnori

shab-e-be-mah bhi uski nahin kali hogi

Mannan Bijnori

Bijnor, Uttar pradesh, India

1960
shab-e-be-māh bhī us kī nahīñ kaalī hogī
jis ne katran bhī tire nuur kī pā lī hogī
log kahte haiñ koī tujh sā hasīñ aur bhī hai
maiñ ye kahtā huuñ ki ye baat ḳhayālī hogī
us ne bhī mujh ko yahī soch ke DhūñDā na kabhī
maiñ ne ab tak to na.ī duniyā basā lī hogī
jab sunā ek añdherā sā hai ghar meñ mere
dukh se bole mirī tasvīr haTā lī hogī
haiñ pashemāñ vo mo.attal tujhe kar ke ai dil
ġham na kar phir usī mansab pe bahālī hogī
aaTh das saal meñ 'mannān' ye ejāz-e-suḳhan
tum ne kuchh umr-e-suḳhan apnī chhupā lī ho hogī
Top Urdushayar.com