ārzūoñ ne uchhal-kūd machā.ī huī hai
jab se tujh tak mirī chāhat kī rasā.ī huī hai
mujh se isrār hai dil kā ki banūñ sahrā.ī
ḳhaak nādān ne siine meñ uḌaa.ī huī hai
duur se tāpne vaale bhī jhulas sakte haiñ
terī ra.anā.ī ne vo aag lagā.ī huī hai
rah ke siine meñ mire terā taraf-dār hai dil
saarī paTTī tirī āñkhoñ kī paḌhā.ī huī hai
ḳhush-numā manzaro itrāo na itnā ḳhud par
yaar ne zulf-e-hasīñ ruḳh pe girā.ī huī hai
ahl-e-taḳh.īl tasavvur meñ jise chhū na sakeñ
maiñ ne vo shakl nigāhoñ meñ basā.ī huī hai