Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi

shama raushan koi kar de mere gham-KHane mein

Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi

Delhi, India

1950
sham.a raushan koī kar de mire ġham-ḳhāne meñ
jaane kab se yahāñ baiThā huuñ sanam-ḳhāne meñ
lazzat-e-sozish-e-ġham jān-e-vafā aah na pūchh
kitnī taskīn milī aap ko taḌpāne meñ
ḳhirman-e-dil pe girī hai to koī baat nahīñ
Dar hai kaundī na ho bijlī tire kāshāne meñ
dil meñ ab koī bhī hasrat nahīñ armān nahīñ
kuchh nahīñ kuchh bhī nahīñ ab mire ġham-ḳhāne meñ
maiñ hī ārā.ish-e-afsāna banā aah magar
ab mirā naam nahīñ aap ke afsāne meñ
yuuñ bhī aksar tirī āvāz sunī hai maiñ ne
siskiyāñ letā ho jaise koī vīrāne meñ
aap laa.eñ to ye dāman mirī āñkhoñ ke qarīb
maiñ bhī kuchh pesh karūñ aap ko nazrāne meñ
kitnī ma.asūm sī pyārī sī ḳhatā kar baiThe
bhuul 'rizvī' se huī hai koī anjāne meñ
Top Urdushayar.com