barbādiyoñ kā apnī gila kyā kareñge ham
aa.egī un kī yaad to royā kareñge ham
ham zindagī se apnī bichhaḌ kar bhī jī rahe
kyā ḳhaak ab qazā kī tamannā kareñge ham
sab kuchh unheñ diyā jo hameñ kuchh na de sake
ai hāsil-e-ḳhulūs batā kyā kareñge ham
thī jin se kuchh umīd-e-vafā vo badal ga.e
hargiz na ab kisī kī tamannā kareñge ham
yaad aa rahī hai aaj bahut un kī nāsehā
ab ibtidā-e-sāġhar-o-mīnā kareñge ham