kuchh bhī na ab kaheñge qafas meñ zabāñ se ham
sayyād ko rulā.enge āh-o-fuġhāñ se ham
māyūsiyoñ ke shahr meñ lagtā nahīñ hai dil
le jaa.eñ apne dil ko kahāñ is jahāñ se ham
gulshan jahāñ jahāñ haiñ vahīñ bijliyāñ bhī haiñ
jaa.eñ nikal ke duur kahāñ āsmāñ se ham
imshab mizāj-e-yār meñ kuchh barhamī sī hai
guzre haiñ baar baar isī imtihāñ se ham
dete rahe fareb mohabbat ke rāste
pahuñche haiñ phir vahīñ ki chale the jahāñ se ham
vo le ga.e haiñ chāñd-sitāroñ kī raushnī
kahte rahe fasāna-e-ġham āsmāñ se ham
ḳhairāt-e-husn kāsa-e-'rizvī' meñ Daal de
kuchh le ke hī uTheñge tire āstāñ se ham