Marghoob Ali

kachche rang utar jaen to sab kuchh yunhi lagta hai

Marghoob Ali

Najeebabad, Uttar pradesh, India

1952
kachche rañg utar jaa.eñ to sab kuchh yūñhī lagtā hai
saare ḳhvāb bikhar jaa.eñ to sab kuchh yuuñ hī lagtā hai
ret kā Dher nazar aate haiñ shahr ke saare puḳhta ghar
chīḳhoñ se dil Dar jaa.eñ to sab kuchh yūñhī lagtā hai
talvoñ meñ siine kī dhaḌkan hoñToñ par muddat kī pyaas
jab ham ''jān-nagar'' jaa.eñ to sab kuchh yūñhī lagtā hai
bhīge bhīge chāñd sitāre shabnam rut niilā ākāsh
us ke baal sañvar jaa.eñ to sab kuchh yūñhī lagtā hai
kursī mez kitābeñ? bistar anjāne se takte haiñ
der se apne ghar jaa.eñ to sab kuchh yūñhī lagtā hai
TuuTī kashtī duur kinārā zehn meñ kuchh guzre qisse
ham jab biich bhañvar jaa.eñ to sab kuchh yūñhī lagtā hai
Top Urdushayar.com