jidhar vo haiñ udhar ham bhī agar jaa.eñ to kyā hogā
irāde hashr meñ ye kaam kar jaa.eñ to kyā hogā
kisī ne aaj tak us kā pata paayā jo ham paate
makān-o-lā-makāñ se bhī guzar jaa.eñ to kyā hogā
ye kaliyoñ kā tabassum aur ye phūloñ kī ra.anā.ī
bahāroñ meñ agar vo bhī sañvar jaa.eñ to kyā hogā
yaqīñ va.ade kā un ke ḳhud-farebī hī sahī lekin
ye do din bhī umīdoñ meñ guzar jaa.eñ to kyā hogā
ġhanīmat hai vo sub.h-e-hashr se pahle chale aa.e
shab-e-āḳhir bhī naale be-asar jaa.eñ to kyā hogā
jidhar shaiḳh-o-barahman phir rahe the DhūñDte 'rizvī'
usī jānib tire shorīda-sar jaa.eñ to kyā hogā