Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi

jigar ke KHun se raushan go ye charagh raha

Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi

Delhi, India

1950
jigar ke ḳhuun se raushan go ye charāġh rahā
misāl-e-māh chamaktā to dil kā daaġh rahā
badal gayā hai zamāna chalī vo bād-e-sumūm
na gul rahe na vo bulbul rahī na baaġh rahā
huzūr-e-husn se ḳhushiyāñ na mil sakīñ na sahī
matā-e-ġham se to sad shukr bā-farāġh rahā
vo Daal dī ġhalat andāz ik nazar tū ne
ki maiñ zamīñ pe rahā arsh par dimāġh rahā
na hogī bazm-e-jahāñ meñ rasā.ī-e-zulmat
yahāñ charāġh se jaltā agar charāġh rahā
kise thā hosh kisī kī talāsh kā 'rizvī'
tamām umr hī maiñ darpai-e-surāġh rahā
Top Urdushayar.com