mujhe mushkil meñ yuuñ andāza-e-mushkil nahīñ hotā
kabhī maiñ kasrat-e-afkār se bad-dil nahīñ hotā
agar honā paḌe mannat-kash-e-amvāj bhī mujh ko
tū phir merī ḳhudī ko kuchh ġham-e-sāhil nahīñ hotā
nahīñ kuchh pās-e-ġhairat jis ko us kā zikr hī kyā hai
jo ġhairat-mañd hai vo dar-ba-dar saa.il nahīñ hotā
jhukā kartī haiñ vo shāḳheñ jo hotī haiñ samar-āvar
vahī hotā hai ḳhud-sar jo kisī qābil nahīñ hotā
lahū kī tere har har buuñd fariyādī hai go bismil
magar qātil ke muñh par shikva-e-qātil nahīñ hotā
dil-e-nākām phir le kaam zauq-e-sa.ī-e-paiham se
kaf-e-afsos malne se to kuchh hāsil nahīñ hotā
yaqīnan maqsad-e-taḳhlīq ko samjhā huā hai vo
farā.ez se kabhī jo aadmī ġhāfil nahīñ hotā
vo insāñ hai malak sajde guzāreñ jis ke dāman par
vo zarra kyā jo ham-dosh-e-mah-e-kāmil nahīñ hotā
jo ro.e dekh kar har har qadam par paañv ke chhāle
kabhī vo rāh-rau āsūda-e-manzil nahīñ hotā
mire soz-e-darūñ merī navā kā faiz hai 'rizvī'
tirā honā to vaj.h-e-garmī-e-mahfil nahīñ hotā