Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi

kabhi to ishq mein un ke sadaqat aa hi jaegi

Sayyad Ejaz Ahmad Rizwi

Delhi, India

1950
kabhī to ishq meñ un ke sadāqat aa hī jā.egī
kabhī to un ke dil meñ merī chāhat aa hī jā.egī
abhī to mere armāñ ḳhuun ke aañsū bahāte haiñ
kabhī to dil ke un zaḳhmoñ ko rāhat aa hī jā.egī
mire gulshan kā har ik phuul murjhāyā huā sā hai
kabhī kaliyoñ ke lab par muskurāhaT aa hī jā.egī
ye Dar hai be-ruḳhī kā vo gila shikva na kar baiTheñ
kisī din un ke hoñToñ par shikāyat aa hī jā.egī
abhī vo āzmāte haiñ unheñ kuchh na kaho 'rizvī'
kisī din un kī chāhat meñ qayāmat aa hī jā.egī
Top Urdushayar.com