dariyā ho yā pahāḌ ho Takrānā chāhiye
jab tak na saañs TuuTe jiye jaanā chāhiye
yuuñ to qadam qadam pe hai dīvār sāmne
koī na ho to ḳhud se ulajh jaanā chāhiye
jhuktī huī nazar ho ki simTā huā badan
har ras-bharī ghaTā ko baras jaanā chāhiye
chaurāhe baaġh buildingeñ sab shahr to nahīñ
kuchh aise vaise logoñ se yārānā chāhiye
apnī talāsh apnī nazar apnā tajraba
rasta ho chāhe saaf bhaTak jaanā chāhiye
chup chup makān rāste gum-sum niDhāl vaqt
is shahr ke liye koī dīvānā chāhiye
bijlī kā qumquma na ho kaalā dhuāñ to ho
ye bhī agar nahīñ ho to bujh jaanā chāhiye