dhuñdle dhuñdle peḌ ugtī shaam kī sargoshiyāñ
jo hai shah-e-rag ke qarīñ us naam kī sargoshiyāñ
jab bhī sochā sar uThā kar ab jiyeñge kuchh dinoñ
gher letī haiñ hameñ anjām kī sargoshiyāñ
phir galī kūchoñ meñ sannāToñ kā shāyad raqs ho
bāñTte haiñ log ik paiġhām kī sargoshiyāñ
kyuuñ qabīle meñ bahut se log bad-zan ho ga.e
chāñd ne sun lī thiiñ kal kyā baam kī sargoshiyāñ
raat qatra qatra Tapkeñ aañkh se majbūriyāñ
shaam lamha lamha ubhrīñ jaam kī sargoshiyāñ
aane vaalī rut meñ bhī shāyad na banñe deñ hameñ
aaj tak guzre hue ayyām kī sargoshiyāñ