raat ke ba.ad na.e din kī sahar aa.egī
din nahīñ badlegā tārīḳh badal jā.egī
hañste hañste kabhī thak jaao to chhup ke ro lo
ye hañsī bhiig ke kuchh aur chamak jā.egī
jagmagātī huī saḌkoñ pe akele na phiro
shaam aa.egī kisī moḌ pe Das jā.egī
aur kuchh der yūñhī jañg siyāsat maz.hab
aur thak jaao abhī niiñd kahāñ aa.egī
merī ġhurbat ko sharāfat kā abhī naam na de
vaqt badlā to tirī raa.e badal jā.egī
vaqt nadiyoñ ko uchhāle ki uḌaa.e parbat
umr kā kaam guzarnā hai guzar jā.egī