kuchh dinoñ to shahr saarā ajnabī sā ho gayā
phir huā yuuñ vo kisī kī maiñ kisī kā ho gayā
ishq kar ke dekhiye apnā to ye hai tajraba
ghar mohalla shahr sab pahle se achchhā ho gayā
qabr meñ haq-goī bāhar manqabat qavvāliyāñ
aadmī kā aadmī honā tamāsha ho gayā
vo hī mūrat vo hī sūrat vo hī qudrat kī tarah
us ko jis ne jaisā sochā vo bhī vaisā ho gayā