Nida Fazli

kuchh tabiat hi mili thi aisi chain se jine ki surat na hui

Nida Fazli

Delhi, India

1938-2016
kuchh tabī.at hī milī thī aisī chain se jiine kī sūrat na huī
jis ko chāhā use apnā na sake jo milā us se mohabbat na huī
jis se jab tak mile dil hī se mile dil jo badlā to fasāna badlā
rasm-e-duniyā ko nibhāne ke liye ham se rishtoñ kī tijārat na huī
duur se thā vo ka.ī chehroñ meñ paas se koī bhī vaisā na lagā
bevafā.ī bhī usī kā thā chalan phir kisī se ye shikāyat na huī
chhoḌ kar ghar ko kahīñ jaane se ghar meñ rahne kī ibādat thī baḌī
jhuuT mash.hūr huā raajā kā sach kī sansār meñ shohrat na huī
vaqt rūThā rahā bachche kī tarah raah meñ koī khilaunā na milā
dostī kī to nibhā.ī na ga.ī dushmanī meñ bhī adāvat na huī
Top Urdushayar.com