hue sab ke jahāñ meñ ek jab apnā jahāñ aur ham
musalsal laḌte rahte haiñ zamīn-o-āsmāñ aur ham
kabhī ākāsh ke taare zamīñ par bolte bhī the
kabhī aisā bhī thā jab saath thiiñ tanhā.iyāñ aur ham
sabhī ik dūsre ke dukh meñ sukh meñ rote hañste the
kabhī the ek ghar ke chāñd sūraj naddiyāñ aur ham
mo.arriḳh kī qalam ke chand lafzoñ sī hai ye duniyā
badaltī hai har ik yug meñ hamārī dāstāñ aur ham
daraḳhtoñ ko harā rakhne ke zimmedār the donoñ
jo sach pūchho barābar ke haiñ mujrim bāġhbāñ aur ham