Marghoob Ali

agar phir shahr mein wo KHush-ada wapas palaT aae

Marghoob Ali

Najeebabad, Uttar pradesh, India

1952
agar phir shahr meñ vo ḳhush-adā vāpas palaT aa.e
mulāqātoñ kā shāyad silsila vāpas palaT aa.e
maiñ us ko bhuul jā.ūñ raat ye māñgī duā maiñ ne
karūñ kyā maiñ agar merī duā vāpas palaT aa.e
guzartā hī nahīñ mausam judā.ī ke dayāroñ kā
milan-rut ke kināroñ se havā vāpas palaT aa.e
vo ab un rāstoñ par hai jahāñ bas phuul khilte haiñ
bulāve kī mire har ik sadā vāpas palaT aa.e
na.e raste mubārak us ko lekin kuchh qadam baḌh kar
bichhaḌne kā mujhe de hausla vāpas palaT aa.e
Top Urdushayar.com