Nida Fazli

ek hi dharti hum sab ka ghar jitna tera utna mera

Nida Fazli

Delhi, India

1938-2016
ek hī dhartī ham sab kā ghar jitnā terā utnā merā
dukh sukh kā ye jantar-mantar jitnā terā utnā merā
gehūñ chāval bāñTne vaale jhūTā tauleñ to kyā boleñ
yuuñ to sab kuchh andar bāhar jitnā terā utnā merā
har jīvan kī vahī virāsat aañsū sapnā chāhat mehnat
sāñsoñ kā har bojh barābar jitnā terā utnā merā
sāñseñ jitnī maujeñ utnī sab kī apnī apnī gintī
sadiyoñ kā itihās samundar jitnā terā utnā merā
ḳhushiyoñ ke baTvāre tak hī ūñche nīche aage pīchhe
duniyā ke miT jaane kā Dar jitnā terā utnā merā
Top Urdushayar.com