Nida Fazli

apni marzi se kahan apne safar ke hum hain

Nida Fazli

Delhi, India

1938-2016
apnī marzī se kahāñ apne safar ke ham haiñ
ruḳh havāoñ kā jidhar kā hai udhar ke ham haiñ
pahle har chiiz thī apnī magar ab lagtā hai
apne hī ghar meñ kisī dūsre ghar ke ham haiñ
vaqt ke saath hai miTī kā safar sadiyoñ se
kis ko mālūm kahāñ ke haiñ kidhar ke ham haiñ
chalte rahte haiñ ki chalnā hai musāfir kā nasīb
sochte rahte haiñ kis rāhguzar ke ham haiñ
ham vahāñ haiñ jahāñ kuchh bhī nahīñ rasta na dayār
apne hī kho.e hue shaam o sahar ke ham haiñ
gintiyoñ meñ hī gine jaate haiñ har daur meñ ham
har qalamkār kī be-nām ḳhabar ke ham haiñ
Top Urdushayar.com