har ghaḌī ḳhud se ulajhnā hai muqaddar merā
maiñ hī kashtī huuñ mujhī meñ hai samundar merā
kis se pūchhūñ ki kahāñ gum huuñ ka.ī barsoñ se
har jagah DhūñDhtā phirtā hai mujhe ghar merā
ek se ho ga.e mausamoñ ke chehre saare
merī āñkhoñ se kahīñ kho gayā manzar merā
muddateñ biit ga.iiñ ḳhvāb suhānā dekhe
jāgtā rahtā hai har niiñd meñ bistar merā
aa.ina dekh ke niklā thā maiñ ghar se bāhar
aaj tak haath meñ mahfūz hai patthar merā