gar huuñ mansūr to suulī pe chaḌhā de mujh ko
aur huuñ suqrāt to lā zahr pilā de mujh ko
vasl kā gul na sahī hijr kā kāñTā hī sahī
kuchh na kuchh to mirī vahshat kā sila de mujh ko
kab talak aur jalūñ aag meñ tanhā.ī kī
zindagī ab yahī behtar hai bujhā de mujh ko
thartharātī huī palkoñ pe sajāne vaale
ashk-e-be-kār kī mānind girā de mujh ko