muTThī bhar logoñ ke hāthoñ meñ lākhoñ kī taqdīreñ haiñ
judā judā haiñ dharm ilāqe ek sī lekin zanjīreñ haiñ
aaj aur kal kī baat nahīñ hai sadiyoñ kī tārīḳh yahī hai
har āñgan meñ ḳhvāb haiñ lekin chand gharoñ meñ ta.abīreñ haiñ
jab bhī koī taḳht sajā hai merā terā ḳhuun bahā hai
darbāroñ kī shān-o-shaukat maidānoñ kī shamshīreñ haiñ
har jañgal kī ek kahānī vo hī bheñT vahī qurbānī
gūñgī bahrī saarī bheḌeñ charvāhoñ kī jāgīreñ haiñ