yaqīn chāñd pe sūraj meñ e'tibār bhī rakh
magar nigāh meñ thoḌā sā intizār bhī rakh
ḳhudā ke haath meñ mat sauñp saare kāmoñ ko
badalte vaqt pe kuchh apnā iḳhtiyār bhī rakh
ye hī lahū hai shahādat ye hī lahū paanī
ḳhizāñ nasīb sahī zehn meñ bahār bhī rakh
gharoñ ke tāqoñ meñ gul-daste yuuñ nahīñ sajte
jahāñ haiñ phuul vahīñ ās-pās ḳhaar bhī rakh
pahāḌ gūñjeñ nadī gaa.e ye zarūrī hai
safar kahīñ kā ho dil meñ kisī kā pyaar bhī rakh