merī terī dūriyāñ haiñ ab ibādat ke ḳhilāf
har taraf hai fauj-ārā.ī mohabbat ke ḳhilāf
harf-e-sarmad ḳhūn-e-dārā ke alāva shahr meñ
kaun hai jo sar uThā.e bādshāhat ke ḳhilāf
pahle jaisā hī dukhī hai aaj bhī būḌhā kabīr
koī aayat kā muḳhālif koī mūrat ke ḳhilāf
maiñ bhī chup huuñ tū bhī chup hai baat ye sach hai magar
ho rahā hai jo bhī vo to hai tabī.at ke ḳhilāf
muddatoñ ke ba.ad dekhā thā use achchhā lagā
der tak hañstā rahā vo apnī aadat ke ḳhilāf