tanhā tanhā dukh jheleñge mahfil mahfil gā.eñge
jab tak aañsū paas raheñge tab tak giit sunā.eñge
tum jo socho vo tum jaano ham to apnī kahte haiñ
der na karnā ghar aane meñ varna ghar kho jā.eñge
bachchoñ ke chhoTe hāthoñ ko chāñd sitāre chhūne do
chaar kitābeñ paḌh kar ye bhī ham jaise ho jā.eñge
achchhī sūrat vaale saare patthar-dil hoñ mumkin hai
ham to us din raa.e deñge jis din dhokā khā.eñge
kin rāhoñ se safar hai āsāñ kaun sā rasta mushkil hai
ham bhī jab thak kar baiTheñge auroñ ko samjhā.eñge