palkoñ par motī rakkhe haiñ sochoñ par sannāTā hai
ta.abīroñ kā shor bahut hai ḳhvāboñ par sannāTā hai
ā.ankhoñ se bāteñ karne kā mausam hai ḳhāmosh raho
aur to sab kuchh jaa.ez hai yaañ lafzoñ par sannāTā hai
din to ḳhair guzāre ham ne hañs kar bhī chup rah kar bhī
lekin jab se bichhḌe haiñ tum se rātoñ par sannāTā hai
shāyad ab mausam ke panchhī aa.eñ to chahkār uḌe
chiḌiyoñ ke ghar jab se ujḌe peḌoñ par sannāTā hai
kaun se din haiñ bachchoñ ke bin raste suune suune haiñ
koī zulf nahīñ lahrātī galiyoñ par sannāTā hai
kis se kah kar halke ho leñ koī ab miltā hī nahīñ
dil meñ huuk bahut uThtī hai hoñToñ par sannāTā hai