Nida Fazli

munh ki baat sune har koi dil ke dard ko jaane kaun

Nida Fazli

Delhi, India

1938-2016

muñh baat sune har koī dil ke dard ko jaane kaun

āvāzoñ ke bāzāroñ meñ ḳhāmoshī pahchāne kaun

sadiyoñ sadiyoñ vahī tamāsha rasta rasta lambī khoj

lekin jab ham mil jaate haiñ kho jaatā hai jaane kaun

vo merī parchhā.īñ hai maiñ us ā.īna huuñ

mere ghar meñ rahtā hai mujh jaisā jaane kaun

jaane kyā kyā bol rahā thā sarhad pyaar kitābeñ ḳhuun

kal merī nīndoñ meñ chhup kar jaag rahā thā jaane kaun

kiran kiran alsātā sūraj palak palak khultī nīndeñ

dhīme dhīme bikhar rahā hai zarra zarra jaane kaun

Top Urdushayar.com