Nida Fazli

apna gham le ke kahin aur na jaya jae

Nida Fazli

Delhi, India

1938-2016
apnā ġham le ke kahīñ aur na jaayā jaa.e
ghar meñ bikhrī huī chīzoñ ko sajāyā jaa.e
jin charāġhoñ ko havāoñ kā koī ḳhauf nahīñ
un charāġhoñ ko havāoñ se bachāyā jaa.e
ḳhud-kushī karne kī himmat nahīñ hotī sab meñ
aur kuchh din abhī auroñ ko satāyā jaa.e
baaġh meñ jaane ke ādāb huā karte haiñ
kisī titlī ko na phūloñ se uḌāyā jaa.e
kyā huā shahr ko kuchh bhī to dikhā.ī de kahīñ
yuuñ kiyā jaa.e kabhī ḳhud ko rulāyā jaa.e
ghar se masjid hai bahut duur chalo yuuñ kar leñ
kisī rote hue bachche ko hañsāyā jaa.e
Top Urdushayar.com