aa.egā koī chal ke ḳhizāñ se bahār meñ
sadiyāñ guzar ga.ī haiñ isī intizār meñ
chhiḌte hī sāz-e-bazm meñ koī na thā kahīñ
vo kaun thā jo bol rahā thā sitār meñ
ye aur baat hai koī mahke koī chubhe
gulshan to jitnā gul meñ hai utnā hai ḳhaar meñ
apnī tarah se duniyā badalne ke vāste
merā hī ek ghar hai mire iḳhtiyār meñ
tishna-labī ne ret ko dariyā banā diyā
paanī kahāñ thā varna kisī reg-zār meñ
masrūf gorkan ko bhī shāyad pata nahīñ
vo ḳhud khaḌā huā hai qazā kī qatār meñ