kabhī kisī ko mukammal jahāñ nahīñ miltā
kahīñ zamīn kahīñ āsmāñ nahīñ miltā
tamām shahr meñ aisā nahīñ ḳhulūs na ho
jahāñ umiid ho is kī vahāñ nahīñ miltā
kahāñ charāġh jalā.eñ kahāñ gulāb rakheñ
chhateñ to miltī haiñ lekin makāñ nahīñ miltā
ye kyā azaab hai sab apne aap meñ gum haiñ
zabāñ milī hai magar ham-zabāñ nahīñ miltā
charāġh jalte hī bīnā.ī bujhne lagtī hai
ḳhud apne ghar meñ hī ghar kā nishāñ nahīñ miltā