nazdīkiyoñ meñ duur kā manzar talāsh kar
jo haath meñ nahīñ hai vo patthar talāsh kar
sūraj ke ird-gird bhaTakne se fā.eda
dariyā huā hai gum to samundar talāsh kar
tārīḳh meñ mahl bhī hai hākim bhī taḳht bhī
gumnām jo hue haiñ vo lashkar talāsh kar
rahtā nahīñ hai kuchh bhī yahāñ ek sā sadā
darvāza ghar kā khol ke phir ghar talāsh kar
koshish bhī kar umiid bhī rakh rāsta bhī chun
phir is ke ba.ad thoḌā muqaddar talāsh kar