Nida Fazli

chand se phul se ya meri zaban se suniye

Nida Fazli

Delhi, India

1938-2016
chāñd se phuul se yā merī zabāñ se suniye
har jagah aap kā qissa hai jahāñ se suniye
kyā zarūrī hai ki har parda uThāyā jaa.e
mere hālāt bhī apne hī makāñ se suniye
sab ko aatā nahīñ duniyā ko sajā kar jiinā
zindagī kiyā hai mohabbat kī zabāñ se suniye
kaun paḌh saktā hai paanī pe likhī tahrīreñ
kis ne kyā likkhā hai ye āb-e-ravāñ se suniye
chāñd meñ kaise huī qaid kisī ghar kī ḳhushī
ye kahānī kisī masjid kī azaañ se suniye
Top Urdushayar.com