har ek baat ko chup-chāp kyuuñ sunā jaa.e
kabhī to hausla kar ke nahīñ kahā jaa.e
tumhārā ghar bhī isī shahr ke hisār meñ hai
lagī hai aag kahāñ kyuuñ pata kiyā jaa.e
judā hai hiir se rāñjhā ka.ī zamānoñ se
na.e sire se kahānī ko phir likhā jaa.e
kahā gayā hai sitāroñ ko chhūnā mushkil hai
ye kitnā sach hai kabhī tajraba kiyā jaa.e
kitābeñ yuuñ to bahut sī haiñ mere baare meñ
kabhī akele meñ ḳhud ko bhī paḌh liyā jaa.e