aaj zarā fursat paa.ī thī aaj use phir yaad kiyā
band galī ke āḳhirī ghar ko khol ke phir ābād kiyā
khol ke khiḌkī chāñd hañsā phir chāñd ne donoñ hāthoñ se
rañg uḌaa.e phuul khilā.e chiḌiyoñ ko āzād kiyā
baḌe baḌe ġham khaḌe hue the rasta roke rāhoñ meñ
chhoTī chhoTī ḳhushiyoñ se hī ham ne dil ko shaad kiyā
baat bahut ma.amūlī sī thī ulajh ga.ī takrāroñ meñ
ek zarā sī zid ne āḳhir donoñ ko barbād kiyā
dānāoñ kī baat na maanī kaam aa.ī nādānī hī
sunā havā ko paḌhā nadī ko mausam ko ustād kiyā