dukh meñ niir bahā dete the sukh meñ hañsne lagte the
sīdhe-sāde log the lekin kitne achchhe lagte the
nafrat chaḌhtī āñdhī jaisī pyaar ubalte chashmoñ sā
bairī huuñ yā sañgī sāthī saare apne lagte the
bahte paanī dukh-sukh bāñTeñ peḌ baḌe būḌhoñ jaise
bachchoñ kī aahaT sunte hī khet lahakne lagte the
nadiyā parbat chāñd nigāheñ maalā ek ka.ī daane
chhoTe chhoTe se āñgan bhī kosoñ phaile lagte the