uTh ke kapḌe badal ghar se bāhar nikal jo huā so huā
raat ke ba.ad din aaj ke ba.ad kal jo huā so huā
jab talak saañs hai bhuuk hai pyaas hai ye hī itihās hai
rakh ke kāñdhe pe hal khet kī or chal jo huā so huā
ḳhuun se tar-ba-tar kar ke har rahguzar thak chuke jānvar
lakḌiyoñ kī tarah phir se chūlhe meñ jal jo huā so huā
jo marā kyuuñ marā jo luTā kyuuñ luTā jo jalā kyuuñ jalā
muddatoñ se haiñ ġham in savāloñ ke hal jo huā so huā
mandiroñ meñ bhajan masjidoñ meñ azaañ aadmī hai kahāñ
aadmī ke liye ek taaza ġhazal jo huā so huā